Urdu Shayari collection
Chehre pe wo sailabe-tabssum hai,
seene mein wo joshe-talatum hai,
kaano mein meri gunj rahi hai ab tak,
wo raat ka khamosh tarnnum hai.
Saaki ke labon par wo tabassum jhalka,
dariya mein tawajjum – sa halka halka,
ab ese me taubaa ki bhi kuch khair nahi,
chinta de lunga may mein gangajal ka.
Khushio se bhari raat kahan aayegi,
har baar ye barsaat kahan aayegi,
dhal jaayegi do din me jawani “betaab“,
ek baar gayi baat kahan aayegi.
Ijhare-haqiqat ke liye aaye the,
tabdiliye-fitrat ke liye aaye the,
khud hajarte-wayij bhi uthe hai pee kar,
rindo ki hidayat ke liye aaye the.
Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein,
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein,
Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum,
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein.
No comments:
Post a Comment