Showing posts with label Mother Shayari. Show all posts
Showing posts with label Mother Shayari. Show all posts

Saturday, 21 November 2015

Meri Maa Tere Bina Sooni Hai Duniya

Shayari on Maa  (Mother)

Khwabon Ki Tasveer Dekta Hun Unki Aankhon Mein
Chaand Ki Roshni Ko Mehsoos Karta Hun Unki Panahon Mein
Main Kya Hun Is Zindagi Mein Meri Pehchaan Hai Kya
Tere Naam Se Judi Har Saans Keh Rahi Hai Sada
Meri Maa Tere Bina Duniya Kitni Sooni Sooni Hai
Jeena Tere Bin Yahan Bas Meri Majboori Hai…

Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta

Maa Se Pyara To Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…

Tuesday, 20 January 2015

Best Hindi Shayari on Maa Shayari in Hindi

Best Hindi Shayari on Maa Shayari in Hindi Images

Maa Tere Dudh Ka Huk Mujhe Aada Kya Hoga..!!
Tu Hai Naraz To Khush Mujhse Khuda Kya Hoga..!!

Monday, 3 November 2014

Mother Shayari In Hindi | Mujhe Apne Sine Se Laga Kar

Sab Ka Gum Mai Kagaz Pe Likhta Hu...
Aaj Socha Ke Maa Teri Dastan Bhi Byan Kar Du...
Waise To Meri Har Ek Saans Teri Rahmat Ki Mohtaj Hai...
Magar Aaj Mai Sabke Samne Apni Zindagi Tere Naam Kardu...
Maine Apni Aankho Ke Samne Tujhe Bilakhta Jab Jab Dekha Hai...
Tab Tab Maa Maine Apne Dil Ko Dhadkne Se Roka Hai...
Mujhe To Yaad Nhi Manzar Wo Bachpan Ka...
Magar Logo Se Mai Teri Mamta Ki Dastan Sunta Aaya Hu...
Tujhe Taklifo Ke Badle Hazaro Khushia Du...
Maa Aise Lakho Sapne Mai Aaj Tak Bunte Aaya Hu...
Suna Hai Ek Bete Ko Kho Kar Tu Toot C Gyi Thi...
Tab Kitni Manato Ke Baar Rab Ne Mujhe Bhej Phir Se God Teri Bhari Thi...
Khushi Se Tu Fule Nhi Smati Thi...
Kahte Hai Bar Bar Mera Matha Chume Jati Thi...
Suna Hai Tune Us Waqt Mere Liye Khana Pina Tak Chhod Diya Tha...
Mujhe Apne Sine Se Laga Kar Tune Jahan Se Muh Mod Liya Tha...
Toote Huye Chhat Se Jab Raato Ko Pani Tapkata Tha...
Tab Suna Hai Maa Teri Mamta Ka Amrit Mujh Pe Barsta Tha...
Tu Pani Wali Jagah Pe Khud Let Jaya Karti Thi...
Kahi Mujhe Na Kuchh Hojaye Is Baat Se Tu Darti Thi...
Hamesha Tune Sabse Jyada Mujhe Chaha Hai...
Mai Mila Hu Manato Se Kamesha Hi Mujhe Ye Kaha Hai...
Mere Dukh Ke Waqt Me Bhi Ek Tuhi Thi Jisne Mujhe Smjha Tha...
Mai Kya Chahta Hu Bina Kahe Hi Tune Jana Tha...
Sara Sara Din Rab Ke Aage Meri Slamti Ke Liye Duaye Mangti Rahti Thi...
Mujhe Uthale Magar Mere Bete Ko Thik Kar Tu Baar Baar Rab Se Ye Kahti Thi...
Tere Itne Ahsano Ke Badle Mai Tujhe Aaj Tak Kya De Paya Hu...
Teri Zindagi Ka Rati Bhar Gum Bhi Na Mai Kam Kar Paya Hu...
Umeed Hai Ke Mai Aage Kuchh Aisa Kar Ke Dikhaunga...
Mai Apni Maa Ki Sari Khushio Ko Pura Kar Jaunga...
Love U Maaa.