Tuesday, 20 January 2015

Best of KUMAR VISHWAS Shayari Collection

KUMAR VISHWAS Shayari Collection 

                              kumar vishwas shayari in hindi

kumar vishwas shayari in hindi free download
dr kumar vishwas shayari in hindi
kumar vishwas shayari in hindi font
kumar vishwas shayari in hindi pdf
kumar vishwas shayari in hindi mp3
kumar vishwas shayari in hindi video
kumar vishwas poems
kumar vishwas shayari in hindi youtube




Best of KUMAR VISHWAS Shayari Collection


Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki
Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki
Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha
Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki
~0~
Ek do din me wo ikraar kaha aayega
Har subah ek hi akhbaar kaha aayega
Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge
Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega
~0~
Jism ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon
Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon
Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar
Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon
~0~
Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali
Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai
Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun
Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai
~0~

Ek do roj me har aankhein ubb jaati hai,
Mujhko manjil nahi rasta samajhne lagte hai…!
Jinko haasil nahi wo jaan dete rahte hai,
Jinko mil jaun wo sasta samajhne lagte hai…!!
~0~
Aankhein ki chhat pe tahalte rahe kaale saaye,
Koi pahlo me ujale bharne nahi aaya…!
Kitni diwali gayi, kitne dashahare beete,
Inn munderon par koi deep na dharne aaya…!!
~0~
Gaon gaon gaata phirta hoon, khud me magar bin gaaya hoon,
Tumne baandh liya hota to khud me simat gaya hota main,
Tumne chhod diya hai to kitni door nikal aaya hoon main…!!
Kat na paayi kisi se chaal meri, Log dene lage mishaal meri…!
Mere jumloon se kaam lete hain wo, Band hai jinse bolchaal meri…!!



- Dr. Kumar Vishwas


Maikade band kare laakh zamane wale
sher me kam nahi aankho se pilane wale.~0~meri aankho me mohabbat ki chamak aaj bhi haihalaki usko mere pyar pe shaq aaj bhi hainaav me baith ke dhoye the usne haath kabhi poore talab me mehandi ki mehak aaj bhi hai.~0~


saja ye hai ki neende cheen li dono ki aankho se

khata ye hai ki ham dono ne milkar khwaab dekha tha.

No comments:

Post a Comment