Tuesday, 25 November 2014

Best Shayaris only for Sad and Tanhai in hindi and urdu

Best Shayaris only for Sad and Tanhai in hindi and urdu

❤Woh mera sab kuch he bus mera mukaddar nahi.....
       Kash woh mera kuch bhi na hota sirf mukaddar hota..
❤Kuch aise Haadse bhi zindagi me hote he  dost ...  
      Insaan bachh to jata he ,magar Zinda nahi rahta.
❤Kitni fikra he Kudrat ko meri tanhai ki.....
       Jagte Rahte he Raatbhar sitare mere liye.
❤Uski jeet se hoti he khushi mujhko ....
       Yahi Zawab mere paas Apni haar kaa tha.
❤Uske haatho ka khilona hi sahi .....
       Kuch der ke liye hi sahi mujhe chahta to he.
❤Me fanaa ho gaya afsos woh badla bhi nahi...
       meri chahto se bhi sacchi rahi nafrat uski.
❤Woh azab shakhs tha ae zindagi jise samajh bhi na samajh saka .
        Mujhe chahta bhi ghazab ka tha mujhe chhodkar bhi chala gaya.

No comments:

Post a Comment