Wednesday 16 December 2015

Paheliyan (Riddles) with Answers In Hindi

Paheliyan (Riddles) with Answers In Hindi  
There is largest collection of Riddles, Paheliyan in hindi with correct answer. So we have brought Hindi/English Paheliyan for facebook and twitter. 

1. Hari Dandi
Lal Kaman
Toba Toba
Kare Insaan
Btao Kya?

Ans. Lal Mirch (Red Pepper)

2. Bikhari nahi par bikh mangata ha
ladaki nahi par pars use karta hai
pujari nahi par ghanti bajata hai
batao kon hai wo?

Ans. Bus Conductor

3. Do Sunder Ladke
Dono ek Rang Ke
Ek Bichad Jaye
To Dusra Kaam Na Aaye

Ans. Juta (Shoes)

4. Aisi kon se chiz hai jise
Aage se to bnaya hai bhagwan ne
Or piche se insaan ne?

Ans. Ball Gaddi

5. Ek Gufa ke Do Rakhwale.
Dono Lambe
Dono Kale
Gusses?

Ans: Muche

Read More - Hindi Paheliyan

6. Ek Chota sa Sipahi
Uski Khich kar Nikkar Lai
Btao Kya?

Ans. Kela (Banana)

7. 8 ko likho 8 baar
Utter aaye 1000
Bata Kaise?

And: 888
88
8
8
8
———–
1000
————

8. Aisi kon si cheej hai
Jo adhik thand
Sardi me bhi pigalti hai ?

Ans. Mombati (Candel)

9. Padhne me Likhne me
Dono Me hi Mai Aata Kaam
Pen Nhi Kagaj Nhi
Btao kya hai Mera Naam ?

Ans. Chasma

10. Seene se Seene mile
Mile ched se ched
Dhachar Dhachar hoke
Nikle safed safed ?

Ans. Aata Chaki

No comments:

Post a Comment